Thursday, April 7, 2011

Fir bhi hum engineer hai

Na kitab ki parwah, na subject koi clear hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Na job ki tension, na future ka koi fear hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Table par kitab ki jagah kingfisher ki beer hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

c++ ya java nahi, chating apna hunar hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Yaha koi Einstein nahi, yaha sab Shakespeare hai,
Fir bhi yaro  hum engineer hai..

Late night studies ki jagah film ka premier hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Padhae ke naam se ho jata constipation hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Lecture ko chod kar duniya ki baato ka karte discussion hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Na koi naya idea, na koi naya transformation hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Padhae karne ki jagah dosto ke liye time hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..
Duniya badal ne ka josh hai, khud me kaha hosh hai,
Fir bhi yado hum engineer hai..

Rat rat ke nikale semester yaad ab kuch hai nahi,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Pen jitna chalaate nahi, gadiyo ki utni dhoom hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Dimaag ki speed se zada hoti dosto se baat hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

Dusro ke muh se sun kar engineer, hote khush hum hai,
Fir bhi yaaro hum engineer hai..

Rasto ka kuch pata nahi, kwab sajhaye sunhare hai,
Fir bhi yaro hum engineer hai..

**choice is yours..!!! :-)

-Phagun

1 comments:

Anonymous said...

kya re engineer....

Post a Comment