Maine dekha dur se manzil vahi khadi thi,
Lekin na jaane kismat kis aur chali thi.
Kai mudaav kai pahaad jarne,
Lekin kismat to kahi aur hi chali thi.
Kadam badhaaya jo rah par, julas gaya shuruvat par,
Ab aage nae badh paunga yahi socha tha kwaab par.
Kadam kadam par angaaro ki ladi padi thi,
Na jaane kismat kis aur chali thi.
Phir bhi kadam uthaya jo man maar kar,
Aage badhne ki chaah kar.
Ab to man ki ruh bhi julas chuki thi,
Na jaane kismat kis aur chali thi.
Seekh gaye the sehen karna angaaro ki jalan,
Aansuo se shaant ho gae thi man ki jalan.
Pida phir bhi bahot sataa rahi thi,
Na jaane kismat kis aur chali thi.
Kuch dur chal kr angaare bhi shaant hone aaye the,
Par andheera kuch ye jata nahi.
Gor andheeri raho me ek roshni bhi nae padi thi,
Na jaane kismat kis aur chali thi.
Kuch na soojh raha tha tab,
Jab andheera hi andheera chaa raha tha tab.
Ab to aansuo ki vajah bhi sookh chuki thi,
Na jaane kismat kis aur chali thi.
Mila tha na kahi maseeha sa savera,
Chalta raha me sehamaa sa akela.
Julse huye vichaaro se manzil ki seedhi chadi ja rahi thi,
Na jaane kismat kis aur chali thi.
Man me jab thakaan baith gae,
Manzil tab kadmo ko choom gae.
Manzil paane ki khushi se saari pida anubhav me badal chuki thi,
Lekin abi bhi na jaane kismat kis aur chali thi.
-Phagun

0 comments:
Post a Comment