Saturday, April 23, 2011

Beete huye pal

Kuch hul-chul si uthti hai dilo-dimag me..
Kuch dhundhlaya sa nazar aane lagta hai,
Jaise hi yaad aate hain wo beete hue pal,
To unhi me kho jate hai hal..

Mashaal jo uthae thi aage badhne ki,
Vachan jo liya tha dat kar khade rehne ka..
Aaj bhi us seekh par hai par,
Jaise hi yaad aate hain wo beete hue pal,
To unhi me kho jate hai hal..

Jo kuch seekha tha thokr kha kr,
Jo kuch jaana tha thokr kha kr,
Abhi tak patthar k gaav b bhare nae,
Jaise hi yaad aate hain wo beete hue pal,
To unhi me kho jate hai hal..

Bhavnao me beh kar jo kuch kia humne,
Swabhimaan me reh kar jo kuch paya humne.
Bahot girne ki chote sahi,
Jaise hi yaad aate hain wo beete hue pal,
To unhi me kho jate hai hal..

Chaa jati hai dhundh ankho k samne,
Ho jati hai nazar dhundhli aisi
Baadlo k peeche suraj jaisi,
Jaise hi yaad aate hain wo beete hue pal,
To unhi me kho jate hai hal..

Kabhi aane wale kal ko tarashne ki sochte hai..
To kabhi aaine se aaj ko dekhte hai,
Mud mud k dekhte hai rasta kitna aage aa gaye hum,
Jaise hi yad aate hain wo beete hue pal,
To unhi me kho jate hai hal..

Hal iska kisiko pata nahi,
Samay bhi hal batana nahi..
Kahi na kahi chupe rehte hai wo pal kyuki,
Jab kabhi yaad aate hain wo beete hue pal,
To unhi me kho jate hai hal..

-Phagun

3 comments:

Anonymous said...

Not fair...soch churayi nhi jati...

Unknown said...

rite soch churayi nae jati.. Exactly me bhi yahi sochta hu.. :D

Anonymous said...

No need to correct it...

Post a Comment